Wednesday 2 March 2016

Pura dukh aur aadha chaand

Pura dukh aur aadha chaand
Hijr ki shab aur aisa chaand

Din meN wahshat bahal gayi thi
Raat hui aur nikla chaand

Kis maqtal se guzra hoga
Itna sahmaa sahmaa chaand

YaadoN ki aabaad gali meN
Ghoom raha hai tanha chaand

Meri karwat per jaag uthey
NeeNd ka kitna kachcha chaand

Mere muNh ko kis hairat se
Dekh raha hai bhola chaand

Itnay ghanay baadal ke peechhe
Kitna tanha hoga chaand

AaNsu roke noor nahaaye
Dil dariya, tann sehra chaand

Itne roshan chehre per bhi
Suraj ka hai saya chaand

Jab paani meN chehra dekha
Tunay kisko socha chaand?

Bargad ki aik shaakh hata ker
Jaanay kisko jhaaNka chaand

Baadal ke resham jhoolay meN
Bhor samay tak soya chaand

Raat ke shaanoN per sar rakkhe
Dekh raha hai sapna chaand

Sookhay pattoN ke jhurmat per
Shabnam thi ya naNnha chaand

Haath hila ker rukhsat hoga
Uski surat hijr ka chaand

Sehra sehra bhatak raha hai
Apne ishq meN sacha chaand

Raat ke shayed aik bajey haiN
Sotaa hoga mera chaand !!

- Parveen Shakir